Ye Kahani Hai Diye Ki Aur Toofan Ki
24 May 2013

Year: 1956
Movie: Diya Aur Toofan
Singer: Manna Dey
Lyricist: Bharat Vyas
Music Director: Vasant Desai

Extended version, with dialogues.

An inspiring song of a battle between a tiny lamp and a storm. Reminds me of Mahatma Gandhi, who was spearheading the Indian freedom movement.

Roman Script

Nirbal Se Ladaai Balavaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofaan Ki

Hindi

निर्बल से लड़ाई बलवान की
ये कहानी है दिये की और तूफ़ान की

Roman Script

Ik Raat Andhiyaari, Thi Dishaayein Kaari Kaari
Mand Mand Pavan Thaa Chal Rahaa
Adhiyaare Ko Mitaane, Jag Mein Jyot Jagaane
Ik Chhota Sa Diya Tha Kaheen Jal Rahaa
Apni Dhun Mein Magan, Uske Tan Mein Agan
Uski Lau Mein Lagan Bhagwaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofan Ki

Hindi

इक रात अंधियारी थी दिशायें कारी कारी
मंद मंद पवन था चल रहा
अंधियारे को मिटाने जग में ज्योत जगाने
इक छोटा सा दिया था कहीं जल रहा
अपनी धुन में मगन उसके तन में अगन
उसकी लौ में लगन भगवान की
ये कहानी है दिये की और तूफ़ान की

Roman Script

Kahi Door Tha Toofaan, Diye Se Tha Balavaan
Saare Jag Ko Masalne Machal Rahaa
Jhaad Ho Yaa Pahaad, De Vo Pal Mein Ukhaad
Soch Soch Ke Zamee Pe Thaa Uchhal Rahaa
Ek Nanha Sa Diya, Usne Hamla Kiyaa
Ab Dekho Leelaa Vidhi Ke Vidhaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofan Ki

Hindi

कहीं दूर था तूफ़ान दिये से था बलवान
सारे जग को मसलने मचल रहा
झाड़ हो या पहाड़, दे वो पल में उखाड़
सोच सोच के ज़मीं पे था वो उछल रहा
एक नन्हा सा दिया उसने हमला किया
अब देखो लीला विधि के विधान की
ये कहानी है दिये की और तूफ़ान की

Roman Script

Duniya Ne Saath Chhoda, Mamta Ne Mukh Moda
Ab Diye Pe Yeh Dukh Padane Lagaa
Par Himmat Na Haar, Man Mein Maranaa? Vichaar
Atyachaar Ki Havaa Se Ladane Lagaa
Sar Uthaana Ya Jhukaana, Ya Bhalaai Mein Mar Jaanaa
Ghadi Aayi Uske Bhi Imtehaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofan Ki

Hindi

दुनिया ने साथ छोड़ा, ममता ने मुख मोड़ा
अब दिये पे यह दुःख पड़ने लगा
पर हिम्मत ना हार, मन में मरना विचार
अत्याचार की हवा से लड़ने लगा
सर उठाना या झुकाना, या भलाई में मर जाना
घड़ी आई उसके भी इम्तेहान की
ये कहानी है दिये की और तूफ़ान की

Roman Script

Phir Aisi Ghadi Aayi, Ghanaghor Ghataa Chhayi
Ab Diye Ka Bhi Dil Lagaa Kaanpane
Bade Zor Se Tufaan Aaya Bharataa Udaan
Us Chhote Se Diye Ka Bal Maapane
Tab Diya Dukhiyaara, Wo Bechara Besahaara
Chala Daav Pe Lagaane Baazi Pran Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofan Ki

Hindi

फिर भी ऐसी घड़ी आई, घनघोर घटा छायी
अब दिये का दिल भी लगा कांपने
बड़े ज़ोर से तूफ़ान आया भरता उड़ान
उस छोटे से दिये का बल मापने
तब दिया दुखियारा वो बेचारा बेसहारा
चला दाव पे लगाने बाज़ी प्राण की
ये कहानी है दिये की और तूफ़ान की

Roman Script

Ladate Ladate Vo Thakaa, Phir Bhi Bujh Na Sakaa
Uski Jyot Mein Tha Bal Re Sacchaai Ka
Chaahe Tha Vo Kamazor, Par Tooti Nahi Dor
Usne Beedaa Thaa Uthaaya Re Bhalaai Ka
Hua Nahi Vo Niraash, Chali Jab Tak Saans
Use Aas Thi Prabhu Ke Vardaan Ki
Ye Kahaani Hai Diye Ki Aur Toofan Ki

Hindi

लड़ते लड़ते वो थका, फिर भी बुझ ना सका
उसकी ज्योत में था बल रे सच्चाई का
चाहे था वो कमज़ोर पर टूटी नहीं डोर
उसने बीड़ा था उठाया रे भलाई का
हुआ नहीं वो निराश चली जब तक साँस
उसे आस थी प्रभु के वरदान की
ये कहानी है दिये की और तूफ़ान की

Roman Script

Sar Patak Patak, Pag Jhatak Jhatak
Na Hataa Paayaa Diye Ko Apni Aan Se
Baar Baar Vaar Kar, Ant Mein Haar Kar
Toofaan Bhagaa Re Maidan Se
Atyachaar Se Ubhar Jali Jyot Amar
Rahi Amar Nishaani Balidaan Ki
Ye Kahani Hai Diye Ki Aur Toofan Ki

Hindi

सर पटक पटक, पग झटक झटक
ना हटा पाया दिये को अपनी आन से
बार बार वार कर, अंत में हार कर
तूफ़ान भागा रे मैदान से
अत्याचार से उभर, जली ज्योत अमर
रही अमर निशानी बलिदान की
ये कहानी है दिये की और तूफ़ान की

© Copyright 2008—2023, Gurmeet Manku.